Skip to playerSkip to main content
  • 2 years ago
केंद्रीय गृहमंत्री अमित शाह ने एक टीवी चैनल को दिये इंटरव्यू में शेयर मार्केट की वॉलिटिलिटी के सवाल पर कहा कि चार जून को चुनाव परिणाम आने के बाद शेयर बाज़ार में बहुत तेज़ी आएगी, इसलिए अभी बाज़ार की हर गिरावट में खरीदें.


Amit Shah live,2024 election,Amit Shah interview to NDTV,Amit Shah interview video,Amit Shah Exclusive Interview With NDTV,Amit Shah Interview LIVE,NDTV Amit Shah Exclusive Interview,Amit Shah at NDTV,Amit Shah news,modi interview live,Lok Sabha elections 2024,elections 2024,share market prediction for tomorrow,share market prediction for tuesday,share market prediction for 2024,share market prediction after election 2024,share market news


#amitshah #AmitShahInterview #AmitShahLive #LokSabhaElection2024
#sharemarket #sensex #sharemarkettoday #nifty #banknifty #sharemarketprediction #sharemarketanalysis #trading #intraday #businessnews
~HT.178~PR.147~ED.148~GR.121~

Category

🗞
News
Transcript
00:00 Lok Sabha Chunaab 2024 mein chauthi churan ka matdan jaari hai.
00:05 Issi beech Kendriya Griha Mantri Amit Shah ne share market ko lekar badi bhavishyamani
00:09 kar di hai aur unhone ek media channel ko interview diya jiske duran unhone kaha ki
00:13 agar sarkar sthir hogi toh bazaar nishchit roop se upar jayega.
00:17 Hala ke unhone saaf kiya hai ki chunab aur share market ki activities ko aapas me jod
00:21 kar nahi dekha jaana chahiye.
00:23 Aur kya kuch bataya hai unhone, kya unhone market ko leke prediction ki hai chaliye
00:27 iss video me jaanenge.
00:28 Kendriya Griha Mantri aur BJP senior leader Amit Shah ne kaha ki teesri baar Kendra mein
00:32 Modi Sarkar banne jaa rahi hai aur 4 June ko stock market nahi uchahi par pahunchega.
00:37 Saat charno me ho rahein Lok Sabha elections ke nateeje 4 June ko saamne aayenge aur unhone
00:42 kaha ki market me pehle bhi girawat aayi hai toh iski halchal ko seedhe chunab se jod
00:47 dena buddhimani nahi hai.
00:48 Unhone kaha ki aisa bhi ho sakta hai kisi afwaha ki wajah se market fisla ho.
00:52 Phir unhone kaha ki 4 June se pehle kharidari kar lein kyuki market upside blast karne
00:57 wala hai.
00:58 Amit Shah ne kaha ki jab sthayi sarkar hoti hai toh stock market ke chaal achi hoti hai.
01:02 Aise me jab P.A.
01:03 Modi teesri baar sarkar me wapsi karenge toh market ko isse tagda support milega.
01:08 Elections ko lekar unhone dawa kiya ki ab tak 3 charan ke matdaan ho chuke hain aur inme
01:13 BJP ko 190 se zyada seeds par jeet hasir ho sakti hai.
01:17 Iss tarah unhone dawa kiya ki BJP ko achi badat mil chuki hai aur umneet jatai ki BJP
01:22 purvi bharat aur Bengal me bhi achha perform karegi.
01:25 Sathi Odisha aur North East me bhi iska shandar pradarshan rahega.
01:29 Kendriya Mantri Amit Shah market ke jis giraawat ko siddha chunav se nahi jodne ka zikar kare
01:33 the uski baat kare toh iss mahine May me ab tak Sensex kareeb 2600 points yaani ke 3% se
01:39 zyada fasal chuka hai.
01:41 30 April ko ye 74,482.78 par bandh hua tha aur aaj intraday me ye 71,866.01 tak aa gaya
01:50 tha.
01:51 Toh ye iss giraawat ko market ke kuch analysts Lok Sabha elections me BJP ki kam margin se
01:56 jeet se jod rahe hain.
01:57 Lekin Amit Shah ne pehle toh kaha ki market ke giraawat ko chunav se direct jodna sahi
02:02 nahi hain aur aage ye bhi kaha ki 4 June se pehle kharidari karein kyonki Modi Sarkar ki
02:07 wapasi ke saath 4 June ko market tagda jump maarega.
02:10 Toh ye Amit Shah ki prediction rahi 4 June ko lekar jab Lok Sabha elections ke results
02:15 aayenge.
02:16 Aapko kya kuch lagta hai comment karke zaroor bataein.
02:18 Agar aap iss video ko Facebook par dekh rahein toh Facebook page ko like karein, YouTube par
02:21 dekh rahein toh GoodReturns ke YouTube channel ko subscribe karna na bhulein.

Recommended