- 3 years ago
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00 Bismillahir Rahmanir Rahim. Allah Tabarak wa Ta'ala ke Pakiza naam se aagaz karte hain
00:07 jab bahut meherbaan nihayat raham bala hai. Dars e Bukhari ka silsila jari ussari hai
00:14 aur Alhamdulillah hum 2469 hadith-e-paak tak pohnche hain. Kitaul mazalim wal ghasb chal
00:21 raha hai. Yani yeh wo kitab ka hisa hai jisme Imam Bukhari rahmatul alayh un a hadith ko
00:27 lekar aayin hain jinka taaluk zulm se hai ya ghasb kar lene se hai. Zulm kitaab ko tarif
00:34 bataayi thi ki bighair ijazat-e-shara'a ki kisi ko jismani, ruhani ya maali takleef
00:41 pohchane ka naam zulm hota hai. Aur ghasb ka matlab hota hai ki zabardasti kisi ka maal
00:47 apne qabze mein kar lena jab ki uski riza isme shamil na ho. Isme yeh 2469 hadith-e-paak
00:55 lekar aayin. Hadhrat-e-Anas bin Malik radhiya Allah-u-taala anhu iske raavi hai. Yeh kahte
01:00 hain ki Nabi-e-Karim (S) ne ek maah tak apni azwaaj ke qareeb na jaane ki qasam khaayi.
01:07 Aur aapke qadam sharif mein, aapke pehre mubarak mein jodh mein moch aagayi thi. Pas aap apne
01:15 baala khaane mein thehre rahe. Pir Hadhrat-e-Amr-e-Farooq radhiya Allah-u-taala anhu ne haazir
01:20 ho ke arz ki kiya aapne apni azwaaj ko talaak de di hai. Aapne shahadh firmaaya ki nahi.
01:27 Lekin main ek mahine tak in ke qareeb na jaane ki qasam khaayi hai. Fir aap 29 din baala
01:34 khaane mein rahe aur fir niche utre aur apni azwaaj ke paas chale gaye. To yeh pehle bhi
01:41 aapke bataya tha ki agar koi qasam khaaleta hai ki main chaar maah tak apni zauja ke
01:48 qareeb na jaaunga. Yani jismani taalluq qaayim na karunga. Ya chaar maah ka zikr nahi karta
01:54 dawaam daimi taur par kabhi qareeb na jaaunga. Kamaskam chaar maah hona chahiye.
01:59 Iss se zyada hun ya hamees ki kaho to yeh shara'i lihaas se ee laa kailata hai.
02:05 Iss ka matlab yeh hota hai ki ab agar usne qasam tod di. Yani chaar maah se pehle pehle
02:10 jismani taalluq qaayim kar liya. To qasam ka kafara dega. Aur agar chaar maah tak
02:15 jismani taalluq qaayim nahi kiya to talaq waqih ho jayegi. To issme kamaskam chaar maah
02:21 hoga to yeh eela-e-shara'i thabit hoga. Lekin agar iss se kam muddat ke liye shohar
02:28 qasam khaata hai to usko eela to kete hain. Lekin lughwi aitibar se yeh eela-e-shara'i
02:33 nahi hai. Aur nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam ne yehi eela-e-lughwi ka irada
02:38 firmaaya tha ki main ek maah tak azwaaj ke qareeb na jaaunga. Chunkin issme muddat
02:43 se kam ki thi. Lihaza yeh eela-e-lughwi to hua. Yani yeh qasam poori sarkar ne firmaay.
02:49 Lekin iss se matlab talaq waghara ka koi taalluq nahi tha. Iss se yeh bhi wazi ho gaya ke baaz
02:56 log agar koi waisi naraz ho ke bibi se door ho gaya. Ya dono me separation ho gayi. Nikah
03:02 qaayim hai lekin alaida alaida rehne lage. Ya koi shohar bahar ke mulk me kamane ke liye
03:07 chala gaya. Aur do teen saal wahan par raha. To iss se nikah pe koi farf nahi padayega.
03:11 Baaz log isko shayad eela-e-shara'i ko qasam ke saath muqayyad unko nahi pata hota ki yeh
03:18 qasam ke saath muqayyad hai. Aur issme yeh qasam khaayi jati hai ke jismani taalluq chaar
03:23 maah tak kamaskam qaayim nahi karunga. Woh samjhte hai bas bibi se door raha aur chaar
03:27 maah se zyada door raha to nikah tood jata hai. Aisa nahi hota. Eela-e-shara'i me hota
03:33 hai. Yeh aur kisi cheez ke andar nahi hota. Aur yeh apko pata hai ek tabeel hadith ka
03:39 yeh tukda hai jo humne do teen episodes maine isi pe record karwaye the. Ke sarkar narad
03:45 hoke chale gaye the. Fir hazrat-e-umar-e-farooq radhiya-llah-u-taala anhu apni sahibzadi bibi
03:50 hafsa radhiya-llah-u-taala anha ke paas gaya aur jaa ke poocha tha. Ke kya sarkar ne aap
03:55 logon ko talaq dedi hai. Unka hume nahi pata. Fir aap waha par gaye aur aapne maalum kiya
04:00 tha. Isme ek jeez hai ke aapke kadam ke jod me moch aagayi thi. To yeh kehte hain ke ghode
04:08 se aap zameen tar tashrif le aaye the. Yeh paum mur gaya tha. Jiski bina par aisa hua.
04:13 Ab yeh dekheyen ke nabiye kareem sallallahu alaihi wasallam habib-e-khuda hai. Aur ek bahut
04:19 bade maqam par faiz hai. Mansab pe faiz hai. Nabuwat ka mansab aapko hasil hai. Allah taala
04:26 ki makhlook me sabse zyada aap mahboob tareen hai. Aur tamam anbiya alaihim us salam ke
04:32 zardar hai. Iska matlab hua ki Allah ke qareeb hona, koi bahut bada mansab hasil hona. Yeh
04:38 is baat ki daleel nahi hota. Yeh is baati garantee nahi hota. Ke ab aise shaks ke saath
04:45 duniya me koi takleef ya koi ranj ya koi parishani ya koi bimari uski jaani mutawajye nahi hogi.
04:52 Us tak nahi pohnchegi. No. Lehaza humare aakas sallallahu alaihi wasallam bukhaar me mubtala
04:57 hua. Isi tarah aapko dekhen taif me aapke upar pathrao kiya gaya. Aapka khoon-e-mubarak
05:03 bahar tashrif laaya. Dandan-e-mubarak ka shaheed hona bhi seerat ki kitabon me manqool hai.
05:09 Isi tariqah se aap pe ilzam tarashi, aapko mazallah swahir kaha gaya, shair kaha gaya,
05:15 majnoon kaha gaya, jisse aapko ruhani azyate hui. Yeh tamam cheezein Nabiye Kareem sallallahu
05:21 alaihi wasallam ki hayati tayyaba me aapke saath uhuti nazar aarahi hai. Isse humare
05:27 wo tamam bhai, behan zarah dars hasil karein. Khususan wo tabqa, jo ulama ka tabqa khaylata
05:34 hai. Humari behne alimat hoti hai. To agar kisi ki tawajjo nahi hoti baad oqaat, kisi
05:40 awam me se kisi ne unke saath battameezi, battahzeebi kardi ya unko koi nukhsaan pohncha
05:46 toh fohran shaitaan kehta hai ke pehli baat toh aisa hona nahi chahiye tha, doosra aap
05:51 aisa hoga yeh taba wabraad hoga. Yeh humein birkut zihan mein nahi lana chahiye. Allah
05:55 ta'ala ne baaz cheezein humari qismat mein likhi hoti hai. Sabab zarur koi banta hai
05:59 lekin apne aap ko buland wabala samajh kar yeh faisla kar lena, ki chunki hum Allah ta'ala
06:03 ke zyada qareeb hain, hum alim hain ya alima hain, lihaaza isko taba wabraad hona chahiye.
06:09 Lahaiza bilkul nahi sochna chahiye aur yoon bhi nahi sochna chahiye ke yaar hum alim
06:16 hain, hum ya koi bheht sochein mein alima hun, hum gunah nahi kartein, nek aamal kartein,
06:21 phir yeh musibatin humari taraf kyun mutawajji hui. Isliye aap baaz awamun naas mein khas
06:26 taur pe aap yeh dekhenge, log kahenge bhi hum toh kisi ke burai mein nahi hain, hum
06:30 kisi ke saath koi bura nahi sochtein, phir pata nahi kyun humare ghar pe musibatin aah
06:34 toh yeh aap ko kahan se yeh zaabta hasil hua, kahan se aap ke paas yeh sharai dalil aagai
06:40 ki agar aap kisi ke saath burai nahi kartein, aap namaz-e padhtein, aap gunah nahi kartein,
06:45 aap nek aamal ka irtikab tasalsul se kartein hain, toh aap koi parashani nahi honge.
06:50 Aisa nahi hota. Balke humare nabiye kareem sallallahu alaihi wasallam ne shahad farmaaya
06:55 ke sab se zyada aazmaish mein anbiya alaihimus salam mubtala kiye jaate hain, phir jo unse
07:02 kareeb hain, phir jo unse kareeb hain. Yani maqam-o-martaba ke aitibar se sab se zyada
07:08 anbiya alaihimus salam in ke baad jo inse kareeb hain, yani in ke kareeb-e-saati, phir
07:13 jo inse kareeb hain, us-o-ummat ke auliya hain, ulama hain, aur mushtahideen wa ghara hain,
07:19 yeh sab aazmaish mein mubtala kiye jaate hain. Isliye nabiye kareem sallallahu alaihi wasallam
07:24 ki hayat-e-tayyiba ka mutala'a karne ke baad, is khayal ko yaqeenan humein apne zayn se
07:30 laag dena chahiye ki agar koi Allah ke kareeb ho jata hai to wo mushkilon se maafood ho jata
07:34 hai. Haan, hamara duniyawi qaida qanun yehi hai ki agar mein ek sahib-e-mansabun, mera
07:39 paas maal hai, to main kabhi nahi chahunga ki meri aulad, meri kareebi rehne walon ko
07:44 koi takleef paunche. Aur main koshish karunga ki takleef paunchne se pehle usko door kardoon,
07:50 koi aisa sama sabab qaim karloon, protection ka intizam karloon ke museebat aaye nahi aur
07:56 aaye to foran tale, apne poori sources laaga denge. Goya ke hum apne kareebi logon ko
08:01 rahat aur sukoon dena chahate hain aur hum kisi aazmaish ko kareeb aana pasan nahi karte
08:07 hain. Lekin Allah ta'baarak wa ta'ala ka apna ek nizam hai, uske apne iraade hain, uska
08:13 apna ek mahabbat ka andaz hai, ki jo hamari duniyawi andaz se bahut hatkar hai, ki wo
08:20 jab kisi ko mahabab banata hai to uske aazmaishon ke darwaze khol dita hai. Lehaza agar koi
08:26 aazmaish ya bala hamari tarah mutawajye ho, chahe wo bimari ki shakal mein, chahe kisi
08:31 neemat se mahrumi ki shakal mein, chahe kisi neemat se chhin jaane ki shakal mein, chahe
08:36 Allah ta'ala ne hame kisi naqs aur kami mein mubtala kia, is surat mein, hame Allah ki
08:41 rizza par raazi rehna chahiye aur isse Allah ke qareeb hone ya door hone ka mayar nahi
08:46 banana chahiye. Saiga na? Yani baaz log kahte hain, yeh museeb tihari na, Allah ta'ala
08:51 tumhe pasand nahi karta, tumhe Allah ne door kar diya, aisa nahi. Allah within jaanta
08:55 hai, wo kyun hamper aazmaish musallat kar raha hai, lekin yeh uske mahabubiyat ke alamat
08:59 zaroor hai, jaise nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya. Isme aakhari
09:03 baat bas yeh zair mein rakhe hai, ki ek zaabta, baharal ulama ne yeh qaim kia hai, ki agar
09:08 ki koi gunahgaar aafat aur museebaton mein mubtala hota hai, to usse apne aamal ki
09:15 saza tasawur karna chahiye. Ki maine gunah kiye hain, isi ka yeh nateeja saamne aara
09:20 hai. Haala ki yeh connection aap aur main mila rahe hain, humein ghaibi khabar to nahi
09:24 hai, ho sakta aisa na bhi ho, lekin usse karna chahiye. Aur agar ek nek aadmi hain,
09:29 parizgaar hain, muttaqi hain, wo bore aamal nahi karta, uspe jab aazmaish aati hai, to
09:34 wo ek Allah ki taraf se aazmaish tasawur karne chahiye, ek imtihaan tasawur karna
09:39 chahiye. To imtihaan mein, aazmaish mein, aur saza mein fark hota hai. Gunahgaar kiye
09:45 saza tasawur karne chahiye, aur nek aadmi kiye aazmaish. Agalay baap ki taraf aati
09:52 hain, baabu man aqala ba'eera hu alal balaatui, au baabil masjid. Jisne apne
09:57 oot ko nasab shuda patthar, ya masjid ke darwaza ke saad baandha. 2470 number hadith
10:05 se paak hai. Hazarat-e-Jabir radhiya Allah-u-taala anhu iske raavi hain. Wo
10:09 kahte hain ki, unhone ne Nabi-e-Karim Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam masjid me
10:15 daakhil hua. Main bhi aap ki taraf daakhil hua. Aur main ne oot ko masjid ke
10:21 darwaza ke paas lagay hua patthar ke saad baandhia. Fir main arz ki ki ye oot
10:26 aapka hai. Aap bahar tashrif laaye, aur oot ke gird aapne ek chakkar lagaya,
10:31 ghumne lagay. Fir firmaya, qeemat bhi tumhari hai, aur oot bhi tumhara hai.
10:37 To iska pasmanzar, ye pehle hadith guzar chuki hai, uska ek hisa yaha Imam Bukhari
10:42 rahmatullah-le-nahi zikr firmaya hai. Zara yaad kijiye, ke Hazarat-e-Jabir radhiya
10:46 Allah-u-taala anhu kehte hain, ke main ek oot pe suwar ja raha tha, aur mera oot
10:50 bahuti sust bisam ka tha. Ki aachanak ek suwar peechhe se aaya, aur usne ek chota
10:56 neza mere oot ke pehloo par halke se maara. To mera oot ekdum tez ho gaya, aur sabse
11:02 aage aage chalne laga. Maine palat kar dekha, to wo Nabi-e-Karim (S) the.
11:08 To Sarkar ne poocha hai, ki aay Jabir tumhe itni jaldi kyu hai wapas jaane ki?
11:12 Aur ye ghazwa ka waqiah tha, ye ghazwa se wapas aa raha hai. To main arz ki,
11:16 as-Salaamu-Alaikum, meri nai nai shadi hui hai, main chahata hu jaldi se apne ghar
11:20 paunchu. To Nabi-e-Karim (S) ne fir kuch bayan farmaaya, iska baad Sarkar
11:25 ne darya ishaat farmaaya, kya tum ye oot mujhe bechte ho? To maine ka, ji
11:30 maine aapko becha. Maamla tay hua, Sarkar ne uski qeemat bhi ada ki.
11:34 Aur uske baad jab ye aaye, ab ye aage ka waqiah hai. Ye kahte hain main aaya aur
11:38 maine oot ko baanda, Nabi-e-Karim ko khabar di, aap bahar tashrif laaye,
11:42 thodasa se ghar ghome, fir farmaaya oot bhi tumhara hai, qeemat bhi tumhari hai.
11:46 Sarkar ne unko hiba kar diya. Iss se malum hua ki, kisi bade budruk se,
11:53 agar hum kharid aur faruqt karte hain, to ye koi adab ke munafi nahi hai.
11:58 Agar che adab, baad log yehi samjhte hain, ke koi budruk shakshiyat hai,
12:04 aur humare aqa to Syed-ul-Ambiya hai, to unse kuch na lo, unke bole,
12:07 huzur, waise aap le jaye, aap se hum paise lege. Baad log karte bhi aise,
12:11 humi bhi aise, bohot saare mil jate hain, jo pehchaan lete hain, to kate hain,
12:14 ji aap to fula hai, aap se koi paise lege. To fir hum kate hain,
12:18 yehne bhi paise le to, chalein aap itne kam de di jayega. To koshish hi hoti hai,
12:23 aur huni bhi chahiye, ke hum apni buzurgi ko, ya nek naami ko,
12:26 ya Allah ne jo izzat di hai, usse thodase paise me cash na kare.
12:30 Yeh humari khaish nahi huni chahiye, ke koi hume saamne dekh kar pehchaan le,
12:34 aur thodasa paise kam kar de. Yeh thodasa paise jo humne kam karwaya,
12:39 yeh humari khaish thi, ke hume dekh kar wo kam kar de,
12:42 iska matlab hai humne apni buzurgi ko, humne Allah taala ki taraf se diye hua,
12:46 ek ukhravi inaam ko duniya mein cash kiya hai, aur yeh sahi nahi hai.
12:51 Haan, agar humari khaish na ho, hum na chahein, koi fir bhi israar kare,
12:55 aur mana karne par uski dil aazari ka khauf ho, to chalein koi baat nahi,
12:59 fir usko thoda bhaat uski baat maan li jaye, fir aur zariya se uski madad kar di jaye,
13:03 uska chalo tofa qabool kar le, lekin jawab mein, kise na kise dara uska badla de diya jaye,
13:09 wo ek alak cheez hai. Lekin agar apni hi dil mein yeh khaish ho,
13:12 ki hume log pehchane, aur humare wajah se hume is buzurgi ki wajah se,
13:17 daadi ki wajah se, imame ki wajah se, ya alim hone ki wajah se,
13:21 ya mashoor hone ki wajah se, thoda sa concession de de, yeh cheez bilkut sahi nahi hogi.
13:25 Matlab, shariat ne usko like nahi kiya hai, ispe bade dalail hain,
13:29 lekin mera mauzoon nahi hai, to mene zimnan aapko arz kiya.
13:32 Lihaz agar koi buzurgaay, aapki dukaan par aagaye, koi bakar, jise aap bakre bechte hain,
13:37 ya baad khud gaaye bakara bechte hote hain, koi alim mufti sahab aagaye,
13:42 aur aapne us cheez par profit rakkar unko bechha hai,
13:45 to yeh koi beyadabi nahi hoti hai.
13:47 Dekhe hai na, yeh isme koi beyadabi ka tasawur nahi hai.
13:50 Misaal ke taur pe apne hi peer sahab aagaye khareedne ke liye,
13:53 to aapko yeh kahe ki, tumne peer sahab ko bhi bakra, paison se de diya,
13:57 to bhai wo karobar karne ke liye betha hai,
13:59 agar peer sahab aur unke mutaalike inko free mein dena shuru karega,
14:02 to sara profit to yeh tofe mein nikal jaayega,
14:05 to yeh paisa lehna koi ghalat to nahi tha,
14:07 isko bilkul ishq ka, mahabbat ka,
14:10 ek standard ya mayar na banaya jaye.
14:13 To lihaaza aapne nabiye kareem ko yeh oot bechha ba khayda,
14:16 lekin sarkar ne baad mein oot bhi wapas kar diya,
14:19 aur qeemat bhi wapas kar diya.
14:21 Isse mere aqa ki, ek to sakhawat ke baare mein pata chala,
14:25 dariya dili aapke qalb-e-wusa'at ka malam hua,
14:28 ke ghulam se oot khareeda,
14:30 lekin fir usko muft mein de diya,
14:32 hiba kar diya, aur qeemat bhi de diya uski.
14:35 Yeh mere aqa sallallahu alaihi wa sallam ki badey shaan thi,
14:38 aur sahih baat yeh, ke jisko duniya ki ma'rifat hasil ho jaye,
14:41 to fir wo in chizon ki aksar parwa nahi karta,
14:44 balke wo duniya par hamisha aakhirat ko faqih dita hai.
14:48 Hamara thoda sa mu'amala oota hota hai,
14:51 baad oqat duniya ki mahabbat itni ghalib a jaati hai,
14:55 ke aap dekhi rahe hain bazaaron mein kya ho raha hai,
14:58 doosre ko riayat dene ke bajaye ham to usko loot lete hain.
15:02 Ramazan mein sabse nikamma tareen maal,
15:05 jo poore saal nahi bikra hota,
15:07 wo ham jhud bolke Ramazan mein bech rahe hota hai.
15:10 Saamne wali ki jeb kaatne ka mauka mil jaye,
15:13 to koi bhi chhodta nahi kisi ko.
15:15 Ek to waqih jeb kaat raha hai,
15:17 aur ek pehshawar qasam ke hote hain,
15:19 har ek aisa hota nahi hai,
15:21 lekin baaral hain,
15:22 scooter theek karne wale,
15:23 darzi type log hote hain,
15:24 mazdoor hote hain,
15:26 jahan mauka milta hai saamne wali ko,
15:28 kaatne ki koshish karta hai,
15:30 yeh ghalat cheez hoti hai,
15:31 akhirat ko peshendar rakhein,
15:33 koshish karein,
15:34 ke sawab-e-jariya ho,
15:36 ummat ko aasani aur fayda pohnchayein.
15:39 Yeh hadith mein aayega Inshallah aage,
15:42 ek shahs tha jo aksar tangdaston ko muhlat de diya karta tha,
15:47 yaani koi cheez ko khareete,
15:49 aur payment mein delay hota,
15:51 aur tangdasti mubtala hote to unko muhlat deta,
15:54 jab ush shahs ka intikal hua,
15:56 to aap roodhi qiyamat ki yaqnin sarkari bayan firma rahein,
15:59 ki wala ki baarga mein pohnchega,
16:01 to Allah taala firishton se firmaayega,
16:03 ke yeh banda hoke,
16:05 humare bandon ke saath rahmat ka muaamla karta hai,
16:09 to hum to Rabb hain,
16:10 hum iske saath bahut zada rahmat ka muaamla karenge,
16:12 liyaaz Allah taala uski maghfirat firma dega.
16:15 To koshish karne chahiye,
16:16 ki doosron ke saath achha rawayya rakhein,
16:18 jaise humare nabiya kareem ka tariq tha,
16:20 ke aapne oondh bhi dediya aur qiyamat bhi dediya.
16:23 To yeh to main nahi kahra hu,
16:24 ke aapne jaanwar khareeda,
16:25 phir aap kahein yeh jaanwar bhi tera qiyamat bhi rakh le,
16:28 yeh to bahut badi cheez hai,
16:30 lekin kamas kam yeh istara ke umoor,
16:33 ke jaise aapne kisi ko koi qarz diya,
16:36 aur thoda bahut hai,
16:37 itna zada bhi nahi hai,
16:38 agar aapko na mile to aapke upar maali lihaaz se,
16:41 koi burden nahi padhega,
16:42 aur aap yeh dekhte hai,
16:43 ke wo tangdaste bechara,
16:44 chalo yaar,
16:45 main tumhe chhoda,
16:46 kisi ko aapne paise diye thoda bahut,
16:48 wo wapas karna chahata,
16:49 aur ghareeb aadmiyon ke,
16:50 yaar rakh lo,
16:51 chalo tumhe rakh lo,
16:52 koi masla nahi hai,
16:53 jaise ab yeh tip waghara hoti hai,
16:55 aap kahin khana peene ke liye jate hai,
16:57 thoda bahut paisa bachha,
16:58 chalo yaar tum rakh lo bhai,
17:00 istara thoda sa sakhawat ka humein muzahara karna chahiye,
17:02 humare nabi ka tariq hai,
17:04 aur inshaAllah thawab milega,
17:06 agle baap ki taraf aate hain,
17:07 baabul wuqoofi wal bauli 'inda,
17:09 subaata tui qaum,
17:11 qaum ke kachra ghar par khade huna,
17:14 aur pishab karne ka baab,
17:16 hadith number hai 2471,
17:20 aur hadrat-e-huzayfa radhiya-Allah-u-taala anhu,
17:23 iske raabi hai,
17:24 wo bayan karte hai,
17:25 ke beshak maine nabi-e-karim sallallahu-wa-sallam ko,
17:28 yaa wo yun kahte hai,
17:29 ke nabi-e-karim sallallahu-wa-sallam,
17:31 qaum ke kachra ghar par tashreef laaye,
17:35 fir aapne khade hokar,
17:37 baul sharif firmaya,
17:39 yaani pishab kiya,
17:41 ulama naiske kai taujihaat bayan ki hai,
17:44 ek toh ye hai,
17:45 ki sarkaar ki kamre mubarka mein dard tha,
17:47 aur aap baith nahi sakte the,
17:48 is warah se aapne aisa kiya,
17:50 ek ye tha,
17:51 ke aap woha koi baithne ki jagah aisi nahi thi,
17:53 toh khadokar aapne pishab kiya,
17:55 dekin iske hum next program mein,
17:57 inshaAllah,
17:58 tafseel se tafsira karenge,
18:00 wa aakhiru da'awana,
18:01 anilhamdulillahi rabbil 'aalameen.
18:03 [BLANK_AUDIO]